[South Asia Citizens Web | April 12, 2003]

Sham-e-Ghariban

Qatilo Yeh jagha kuchh naee to naheen
Ye jagha is se pahle bhi sajti rahee
Fauj ke silsile aur tabl-o-alam
Lashkaron ki safen, azm ke qafile
Jan lene ka dar, jan dene ki dhun
Puri dunyan pe qabze ka tha ek nasha
Taj ki takht ki bhook thi ek taraf
Aur yaheen the who sab,
Sar pe bahdhe kafan
Jo usulon pe mitne ko tayyar the
Is jagha zulm ki had muqarrar hui
Aur shahadat ke paimane banche gaye
Yeh wahee ret hai, yeh wahee dhool hai
Nainawa hai wahi, karbala hai wahee
Teer bhi, sang bhi, bediyan bhi wahee
Ham ne pahle bhi parkhe hain zalim yahan
Ham ne pahle bhi dekhe hain naizon pe sar
Khoon-e-nahaq ki khushboo hai ab tak yahan
Is ko pahchan lo,

Qatilo Yeh jagha kuchh naee to naheen
Ye jagha is se pahle bhi sajti rahee

Jeet kar jang pahle bhi hare the tum
Jeet kar jang phir har jao ge tum
Aur tareekh apne ko dohraigee
Qatilo is se pehle bhi aisa hua
Qatl ho kar bhi bazee hamari rahee

Qatilo Yeh jagha kuchh naee to naheen
Ye jagha is se pahle bhi sajti rahee

(Iraq ke awam ke naam, jinhon ne tisree dunyan ke awam ki laj rakh lee)

-- Gauhar Raza
05.04.2003


Return to: Progressive South Asian Voices Against the War on Iraq - 2003


Return to South Asia Citizens Web